Tuesday 1 February 2011

Pakistan-sweden

Mein intehai nashukra insaan hoon, ye meri raai hai apnay bare mein, shaid dosray loog be aisa he sochtay hoon apne bare mein, Mein apni bare mein likhonn ga ke jub mein NUST mein tha tu mein kehta thaa ke yar kab meri jan chotay ge iss parahai se, parahai khatum hotay sath he muje Fauji Fertilizer Bin qasim (FFBL) mein job mil gai, magar mein wahan jane per be khush nahi thaa, khair na chahtay huay wo be mein wahan chala gya, aur wahan kuch arsa guzarne ke baad muje ihsas hua ke yahan anay ka decision sahi thaa per sath he sath university ke La parva life shadeed yad anay lagi, roz subah jab 8 bajay uthna aik azab lagne lug gya, karachi muje apne gher se bohat ziada door lagne lug gya, mess kay khanay be booray lagne lug gai, in short muje wahan per kafi chezain aisi mil gai jin per mein aitraz kerta rehta thaa.

Then i joined Fatima Fertilizer, shru shru mein bohat khush thaa, ke chalo yar now i am close to my home, karachi mein bahir nikalte huay jo gun point per lut jane ka khof thaa wo be nahi raha, per kuch arse bad i was fed up with the nature of my job and i started comparing my job scope at Fatima with that at FFBL, muje Sadikabad ke garmi per shadeed ghusa anay laga, Fatima ka mess be muje bura lagne lug gya (Although at start of my job at FATIMA i used to say ke 'yahan ke mess quality tu bohat achi haii), fatima ke administration ke sath muje kafi problems rahi, muje wahan rehtay huay ye ihsas honay laga ke agar mein yahan raha to mein maximum Middle east tak he ja sakta hoon,  than i started saying ke yar Pakistan se bahir nikalna chahii (bahir se meri murad US ya Europe thee) or bahir ke duniya dekhni chahii, iss ke haq mein i used to say many things like bahir janay se apka vision broad hota hai, u meet and interact with people from different background and races, learn about other cultures gharz mein her wo baat kehta thaa jis se ye zahir hota thaa ke agar app bahir nahi gaii tu zindagi ka koi faida nahii, so i decided ke mein bahir jaoon ga or bahir jane ka sub se asaan rasta thaa study visa

USA ka visa reject honay ke baad mein sweden ponch gya, and believ me yahan a ker kuch he arsay bad mera bahir anay ka bhoot utar gya aur ab muje Pakistan kafi shidat ke sath yad ataa haii, pakistan mein sadikabad ke germi, or  banay banai khany or bani banai rotiyan :), job ke maazay, mahinay bad zaroorat se kahin ziada milne wali pay ::)), friends, colleagues, apni zaban mein galian or barey he strong kism ke jokes, Rahim yar khan mein ke hui hotelling, or shopping or sub se barh ker ye ihsas ke hum first grade Pakistani citizen hain na key kisi aur mulk se aai huay 2nd grade citizen.

1 comment:

  1. Probably, this blog is top of list so far. Please keep this level of genuineness in your blogs, you will get inshallah more better.

    AAp kay blog main aik cheez main nay dekhi woh yeah hai keh.. apne present ko bura kehnay ke bajaye.. uss ko enjoy karen.. so iss say pehlay keh annay walay kall main aap kahen sweden bohat acha tha.. please enjoy your present...takeh annay wala kal regretful na ho.. cherishing ho :)

    miss you gohar

    ReplyDelete

Strangling Corona

In the current scenario, when whole world is screaming to avoid social gathering, we in Pakistan are adamant to go against it and are on th...