Sunday 30 January 2011

30-01-11-Idher Udher

'insan paris jai or us ke sath us ke biwi ho tu aisa he hai jaisay koi shaks himalya ke barf posh paharoon per jai or jaib mein aik barf ke cube sath le jai'

Duniya mein koi be insaan jahil nahi hota, infact hum sab log apnay gird aik chota sa daira khench letay hain or apni soch ko us dairay mein mehdood ker letay hain or phir hum ussi soch ya nazriye se her insaan ko dekhtey hain or khud he kisi ke bare mein ye conclude ker lete hain ke ye to bohat he kam aqal hai ya ye bohat aqalmand hai, khuda ne her inssan ko kisi na kisi khobi se nawaza huwa hai bus us hunar ko tilash kerne ke zarorat hai kehtay hain

'aik bar aik parha likh or aqalamand insaan kashti mein safr ker raha thaa tu us ne mallah se pocha ke tu ne koi education hasil ke hai to wo kehnay laga ke NAHI, is per us alim fazil shaks ne kaha ke tu ne apni adhi zindagi sirf zaya ke hai, kuch door ja ker samandar mein tofaan a gya tu kashti chalanay wale ne pocha ke hazrat swimming kerna seekha hai ap ne zindagi mein, jawab nafi mein pa ker Mallah bola ke ap ne apni poori zindai zaya ker de hai'.

shair kehtay hain ke larki ke gerdan sorahi numa hona chahii, ankhein badami honi chahein, unglian makhrooti honi chahii, chaal hirni se honi chahiii, kamar lehrati hui hooo, agar ye sab so called khobian aik he larki mein a jain tu khuda jane wo kya makhlook ho gee :)

(Choraha-GEO TV ke kuch lines)






No comments:

Post a Comment

Strangling Corona

In the current scenario, when whole world is screaming to avoid social gathering, we in Pakistan are adamant to go against it and are on th...